Suno kahanee:
Kai saal pehle aisa tha.
Sab kuchh hee aisa-waisa tha
Ek tha banda mast-kalandar
Dhol bajaye jaise Bandar
Ek thee ladki badhee sayanee
Yaad dilaye sabko naanee
Banda Khata-peeta hansta
Bandee ka tha alag hee rasta
Dono ek din aisa takraye
Akkad-bakkad sab chakraye
Akal-shakal soorat naa seerat
Naa batein naa shauq na hasrat
Mail nahee tha kisi cheej ka
Toh bhee dil tha yahin pe atka
Haar ke phir dono ne maana
Nahi Koi itna deewana
Tab se dono badhte jaate
Hansee-kahanee geet sunate
Unko na ab koi parwaah
Kar rahe hain shubh-vivaah
Yaaron par ye pyaar tika hai
Dil ka kaarobar tika hai
Aa jao sab ho taiyaar,
Hulaad mastee ho zordaar.
No comments:
Post a Comment